Romantic Poem

Hawas naseeb nazar ko kahin qaraar nahin

Main muntazar houn, magar teraa intezaar nahi,


Hamin se rang-e-gulistaan, hamin se rang-e-bahaar

Hamin ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahi,



Abhii na chher muhabbat ke geet aie mutrib

Abhii hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahi,



Tumhaare ahd-e-vafaa ko main ahd kyaa samjhoun

Mujhe Khud apnii muhabbat kaa aitbaar nahi,



Na jaane kitne gile ismein muztarib hai nadeem

Vo ek dil jo kisii kaa gilaa-guzaar nahi,



Gurez kaa nahiin qaa’il hayaat se, lekin

Jo sach kahoun to mujhe maut naagavaar nahi,



Ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa zamaane ne

K ab hayaat pe tera bhi ikhtiyaar nahi.



Glossary:

hawas-naseeb = lustful

qaraar = satisfaction

muntazir = waiting

nazm-e-gulistaaN = the arrangment of the garden (system!)

mutrib = singer

hayaat = life

maahaul = environment

Khushgavaar = happy

ahd-e-vafaa = the promise of love and faithfulness

gile = complaints

muztarib = anxious

nadeem = companion

gurez = running away

qaa’il = consenting

naagavaar = unpleasant

iKhtiyaar = adopted, acquired

0 comments: